dekh kar haal-e-aqidat aaj yar-e-ghaar ka
dekh kar hāl-e-'aqīdat aaj yār-e-ġhār kā
ham ko to behtar lagā kirdār bad-kirdār kā
be-ḳhabar rakhnā agar maqsūd hai sarkār kā
bā-ḳhabar karnā hameñ ye kaam hai aḳhbār kā
dīn-o-maz.hab vesh bhūshā mulk-o-sarhad kuchh nahīñ
sach kaheñ to khel chāroñ or hai byopār kā
chaar dīvāreñ uThā letī haiñ chhat kā bojh jab
ghar meñ āḳhir kaam kyā hai pāñchvīñ dīvār kā
aaj jo bigḌī huī sūrat hai hindostān kī
haath is meñ hai yaqīnan vote ke byopār kā
dekh kar haal-e-'aqidat aaj yar-e-ghaar ka
hum ko to behtar laga kirdar bad-kirdar ka
be-KHabar rakhna agar maqsud hai sarkar ka
ba-KHabar karna hamein ye kaam hai aKHbar ka
din-o-mazhab wesh bhusha mulk-o-sarhad kuchh nahin
sach kahen to khel chaaron or hai byopar ka
chaar diwaren uTha leti hain chhat ka bojh jab
ghar mein aaKHir kaam kya hai panchwin diwar ka
aaj jo bigDi hui surat hai hindostan ki
hath is mein hai yaqinan wote ke byopar ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.