dekh kar rang unki mahfil ka
dekh kar rang un kī mahfil kā
ho gayā past hausla dil kā
kho gayā jab ḳhayāl-e-manzil meñ
mil gayā hai surāġh manzil kā
jab sitam sah ke log haiñ ḳhāmosh
hausla kyoñ baḌhe na qātil kā
aap dekheñ na tez nazroñ se
phuuT jā.egā aabla dil kā
pūchhte haiñ vo haal maiñ chup huuñ
aa gayā hai maqām mushkil kā
baiTh jaa.eñ jo do qadam chal kar
kyā nishāñ pā sakeñge manzil kā
aur ik vaar kī zarūrat hai
ye taqāzā hai tere bismil kā
ġham-o-hasrat kī saḳhtiyāñ to burā
chuur hai aa.ina mire dil kā
koshisheñ karke thak gayā 'gauhar'
phir bhī rasta milā na manzil kā
dekh kar rang un ki mahfil ka
ho gaya past hausla dil ka
kho gaya jab KHayal-e-manzil mein
mil gaya hai suragh manzil ka
jab sitam sah ke log hain KHamosh
hausla kyon baDhe na qatil ka
aap dekhen na tez nazron se
phuT jaega aabla dil ka
puchhte hain wo haal main chup hun
aa gaya hai maqam mushkil ka
baiTh jaen jo do qadam chal kar
kya nishan pa sakenge manzil ka
aur ek war ki zarurat hai
ye taqaza hai tere bismil ka
gham-o-hasrat ki saKHtiyan to bura
chur hai aaina mere dil ka
koshishen karke thak gaya 'gauhar'
phir bhi rasta mila na manzil ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.