dekh kar usko kabhi shad hua karte the
dekh kar us ko kabhī shaad huā karte the
un dinoñ ham bhī use yaad huā karte the
aap ne yaar mohabbat meñ kamā.ī kar lī
log to 'ishq meñ barbād huā karte the
ik mohabbat kī fazā chāroñ taraf hotī thī
āsmāñ-zāde zamīñ-zād huā karte the
tire hote hue ḳhāmosh sabhī rahte the
saare hañgāme tire baa'd huā karte the
un kī āvāz hī tahrīk banā kartī thī
log jab mā.il-e-fariyād huā karte the
ab to har hukm pe ham sar ko jhukā lete haiñ
ham jo majmū'a-e-azdād huā karte the
vaqt badle to phir anhonī bhī ho jaatī hai
aaj jo said haiñ sayyād huā karte the
dekh kar us ko kabhi shad hua karte the
un dinon hum bhi use yaad hua karte the
aap ne yar mohabbat mein kamai kar li
log to 'ishq mein barbaad hua karte the
ek mohabbat ki faza chaaron taraf hoti thi
aasman-zade zamin-zad hua karte the
tere hote hue KHamosh sabhi rahte the
sare hangame tere ba'd hua karte the
un ki aawaz hi tahrik bana karti thi
log jab mail-e-fariyaad hua karte the
ab to har hukm pe hum sar ko jhuka lete hain
hum jo majmu'a-e-azdad hua karte the
waqt badle to phir anhoni bhi ho jati hai
aaj jo said hain sayyaad hua karte the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.