dekh kar wo mujhe hairan bhi ho sakta hai
dekh kar vo mujhe hairān bhī ho saktā hai
ab ke is baat kā imkān bhī ho saktā hai
apnī man-mohnī sūrat pe udāsī na bikher
is tarah koī pareshān bhī ho saktā hai
nafrateñ baḌhtī rahīñ gar isī raftār ke saath
ye hasīñ shahr to vīrān bhī ho saktā hai
ghar kī dahlīz pe mash.al liye maujūd huuñ maiñ
aane vaalā koī anjān bhī ho saktā hai
jab vo muñh pher ke jaate haiñ to maiñ sochtā huuñ
itnā zālim koī insān bhī ho saktā hai
apne aariz kī gulābī mere nazdīk na lā
aise bīnā.ī kā nuqsān bhī ho saktā hai
chal paḌeñ rāh-e-qanā.at pe agar ham 'rāhī'
ḳhatm ye hirs kā sartān bhī ho saktā hai
dekh kar wo mujhe hairan bhi ho sakta hai
ab ke is baat ka imkan bhi ho sakta hai
apni man-mohni surat pe udasi na bikher
is tarah koi pareshan bhi ho sakta hai
nafraten baDhti rahin gar isi raftar ke sath
ye hasin shahr to viran bhi ho sakta hai
ghar ki dahliz pe mashal liye maujud hun main
aane wala koi anjaan bhi ho sakta hai
jab wo munh pher ke jate hain to main sochta hun
itna zalim koi insan bhi ho sakta hai
apne aariz ki gulabi mere nazdik na la
aise binai ka nuqsan bhi ho sakta hai
chal paDen rah-e-qanaat pe agar hum 'rahi'
KHatm ye hirs ka sartan bhi ho sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.