dekh le aa ke tere baad kahan tak pahunche
dekh le aa ke tire baad kahāñ tak pahuñche
ham pe ab raushnī pahuñche na dhuāñ tak pahuñche
niiñd aate hī koī ham ko jagā detā hai
duur se aatī hai āvāz kahāñ tak pahuñche
tū mire der se aane pe pareshāñ kyoñ hai
aur kitne haiñ mire saath yahāñ tak pahuñche
is tarah bhaag ke vo mere qarīñ aaya thā
jaise bārish meñ koī apne makāñ tak pahuñche
māntī huuñ baḌā mushkil hai pahuñchnā us tak
phir bhī ik baat rakhī maiñ ne jahāñ tak pahuñche
dekh le aa ke tere baad kahan tak pahunche
hum pe ab raushni pahunche na dhuan tak pahunche
nind aate hi koi hum ko jaga deta hai
dur se aati hai aawaz kahan tak pahunche
tu mere der se aane pe pareshan kyon hai
aur kitne hain mere sath yahan tak pahunche
is tarah bhag ke wo mere qarin aaya tha
jaise barish mein koi apne makan tak pahunche
manti hun baDa mushkil hai pahunchna us tak
phir bhi ek baat rakhi main ne jahan tak pahunche
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.