dekh leta main bhi jalwa sho’la-e-ruKHsar ka
dekh letā maiñ bhī jalva sho’la-e-ruḳhsār kā
rah gayā dil meñ mire armāñ visāl-e-yār kā
mah-vashoñ meñ vo hai yaktā barq hai us kī adā
qābil-e-tahsīñ hai jalva us jamāl-e-yār kā
ik jhalak dikhlā ke vo rū-posh mujh se ho gayā
dil taḌap kar rah gayā phir shauq hai dīdār kā
rauñd Daale saikḌoñ ke dil ḳhirām-e-nāz se
har taraf charchā hai un ke fitna-e-raftār kā
kaun mūnis thā shab-e-ġham meñ jo kartā dil-dahī
dard hī mūnis banā uTh kar tire bīmār kā
iztirāb-e-dil mirā 'bāsir' huā had se sivā
jab nazar ke sāmne aayā vo jalva yaar kā
dekh leta main bhi jalwa sho’la-e-ruKHsar ka
rah gaya dil mein mere arman visal-e-yar ka
mah-washon mein wo hai yakta barq hai us ki ada
qabil-e-tahsin hai jalwa us jamal-e-yar ka
ek jhalak dikhla ke wo ru-posh mujh se ho gaya
dil taDap kar rah gaya phir shauq hai didar ka
raund Dale saikDon ke dil KHiram-e-naz se
har taraf charcha hai un ke fitna-e-raftar ka
kaun munis tha shab-e-gham mein jo karta dil-dahi
dard hi munis bana uTh kar tere bimar ka
iztirab-e-dil mera 'basir' hua had se siwa
jab nazar ke samne aaya wo jalwa yar ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.