dekh lo KHwab magar KHwab ka charcha na karo

dekh lo KHwab magar KHwab ka charcha na karo
Kafeel Aazar Amrohvi
MORE BYKafeel Aazar Amrohvi
dekh lo ḳhvāb magar ḳhvāb kā charchā na karo
log jal jā.eñge sūraj kī tamanna na karo
kirchiyāñ TuuTe hue 'aks kī chubh jā.eñgī
aur kuchh roz abhī aa.ina dekhā na karo
ajnabī lagne lage ḳhud tumheñ apnā hī vujūd
apne din raat ko itnā bhī akelā na karo
ḳhvāb bachchoñ ke khilaunoñ kī tarah hote haiñ
ḳhvāb dekhā na karo ḳhvāb dikhāyā na karo
be-ḳhayālī meñ kabhī uñgliyāñ jal jā.eñgī
raakh guzre hue lamhoñ kī kuredā na karo
mom ke rishte haiñ garmī se pighal jā.eñge
dhuup ke shahr meñ 'āzar' ye tamāshā na karo
dekh lo KHwab magar KHwab ka charcha na karo
log jal jaenge suraj ki tamanna na karo
kirchiyan TuTe hue 'aks ki chubh jaengi
aur kuchh roz abhi aaina dekha na karo
ajnabi lagne lage KHud tumhein apna hi wujud
apne din raat ko itna bhi akela na karo
KHwab bachchon ke khilaunon ki tarah hote hain
KHwab dekha na karo KHwab dikhaya na karo
be-KHayali mein kabhi ungliyan jal jaengi
rakh guzre hue lamhon ki kureda na karo
mom ke rishte hain garmi se pighal jaenge
dhup ke shahr mein 'azar' ye tamasha na karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.