dekh sare bhar gae bartan parai aag se
dekh saare bhar ga.e bartan parā.ī aag se
maiñ mukammal ho chukā raushan parā.ī aag se
ab tumhāre is alaav kā mujhe kyā fā.eda
jal gayā kab kā mirā dāman parā.ī aag se
terī lau se lag rahā hai ai mire dil ke charāġh
jaltā aayā hai tirā bachpan parā.ī aag se
kaise ho jā.ūñ achānak terī bāñhoñ meñ niDhāl
haath kaise khīñch luuñ fauran parā.ī aag se
vo miTātā naqsh hai phailā ke apnī raakh phir
ho gayā mānūs jo rahzan parā.ī aag se
tum basā rakhnā hamāre baa'd har shām-e-firāq
raakh kar lenā nahīñ sāvan parā.ī aag se
vo darīchoñ se huā dāḳhil mire ghar-bār meñ
maiñ bachātā kis tarah chilman parā.ī aag se
tere chhūne se hameñ jalne kī vo 'ādat paḌī
'umr bhar jalnā paḌā rasman parā.ī aag se
shāhzāda kho ke āḳhir apne ḳhvāboñ kā 'muqīm'
kaise ḳhush hogī koī dul.han parā.ī aag se
dekh sare bhar gae bartan parai aag se
main mukammal ho chuka raushan parai aag se
ab tumhaare is alaw ka mujhe kya faeda
jal gaya kab ka mera daman parai aag se
teri lau se lag raha hai ai mere dil ke charagh
jalta aaya hai tera bachpan parai aag se
kaise ho jaun achanak teri banhon mein niDhaal
hath kaise khinch lun fauran parai aag se
wo miTata naqsh hai phaila ke apni rakh phir
ho gaya manus jo rahzan parai aag se
tum basa rakhna hamare ba'd har sham-e-firaq
rakh kar lena nahin sawan parai aag se
wo darichon se hua daKHil mere ghar-bar mein
main bachata kis tarah chilman parai aag se
tere chhune se hamein jalne ki wo 'adat paDi
'umr bhar jalna paDa rasman parai aag se
shahzada kho ke aaKHir apne KHwabon ka 'muqim'
kaise KHush hogi koi dulhan parai aag se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.