dekh ufuq ke pile-pan mein dur wo manzar Dub gaya
dekh ufuq ke pīle-pan meñ duur vo manzar Duub gayā
jaise kisī bīmār ke ruḳh par rañg ubhar kar Duub gayā
jhūTī aas ke pañkh lagā kar saat samundar uḌ aayā
tere qurb kī ḳhushbū pā kar maiñ sāhil par Duub gayā
yaad kī ai sailī dīvāro ab ke aisā lagtā hai
haal kī tuġhyānī meñ jaise maazī kā ghar Duub gayā
vo to apne qad se ziyāda sar-afarāz-e-bazm huā
maiñ gumnām zamāna apnī zaat ke andar Duub gayā
us ke badan ke sīmīñ-pan kā ek tasavvur thā ki achānak
lams ne baḌh kar Thokar khaa.ī chāñd chamak kar Duub gayā
dekh ufuq ke pile-pan mein dur wo manzar Dub gaya
jaise kisi bimar ke ruKH par rang ubhar kar Dub gaya
jhuTi aas ke pankh laga kar sat samundar uD aaya
tere qurb ki KHushbu pa kar main sahil par Dub gaya
yaad ki ai saili diwaro ab ke aisa lagta hai
haal ki tughyani mein jaise mazi ka ghar Dub gaya
wo to apne qad se ziyaada sar-afaraaz-e-bazm hua
main gumnam zamana apni zat ke andar Dub gaya
us ke badan ke simin-pan ka ek tasawwur tha ki achanak
lams ne baDh kar Thokar khai chand chamak kar Dub gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.