dekha dam-e-aKHir jo mohabbat ki nazar se
dekhā dam-e-āḳhir jo mohabbat kī nazar se
lauTā liyā bīmār ko allāh ke ghar se
hosh uḌ ga.e milte hī nazar un kī nazar se
āġhāz meñ ghabrā ga.e anjām ke Dar se
jaanā to ye jaanā tire andāz-e-nazar se
mahfil meñ koī aa.e koī aane ko tarse
zāhid kī qasam sajdoñ meñ bhī baañT ke dekhā
ye bār-e-gunah phir bhī na utrā mire sar se
dīdār kahāñ hasrat-e-dīdār meñ 'āshiq
sar phoḌte haiñ aap kī dīvār se dar se
jab tak na milegā tirī rahmat kā sahārā
ye bār-e-garāñ uTh na sakegā mire sar se
mandir meñ pujārī bane masjid meñ namāzī
kyā kyā na ġharīboñ ne kiyā aap ke Dar se
phir dam pe banī paḌ ga.e phir jaan ke laale
kambaḳht nazar laḌ ga.ī phir un kī nazar se
ḳhālī na phire thoḌī bahut pī hī ke uTThe
baiThe rahe jo aas lagā.e tire dar se
bālīñ se vo uTh hī ga.e kahtī rahī duniyā
aise meñ nahīñ uThte haiñ bīmār ke ghar se
ḳhālī na milī ek bhī but-ḳhāne kī chaukhaT
allāh ke joyā jo phire apne safar se
'bismil' ne jo do din ke liye riish baḌhā.ī
vā'iz kī tarah gir gayā duniyā kī nazar se
dekha dam-e-aKHir jo mohabbat ki nazar se
lauTa liya bimar ko allah ke ghar se
hosh uD gae milte hi nazar un ki nazar se
aaghaz mein ghabra gae anjam ke Dar se
jaana to ye jaana tere andaz-e-nazar se
mahfil mein koi aae koi aane ko tarse
zahid ki qasam sajdon mein bhi banT ke dekha
ye bar-e-gunah phir bhi na utra mere sar se
didar kahan hasrat-e-didar mein 'ashiq
sar phoDte hain aap ki diwar se dar se
jab tak na milega teri rahmat ka sahaara
ye bar-e-garan uTh na sakega mere sar se
mandir mein pujari bane masjid mein namazi
kya kya na gharibon ne kiya aap ke Dar se
phir dam pe bani paD gae phir jaan ke lale
kambaKHt nazar laD gai phir un ki nazar se
KHali na phire thoDi bahut pi hi ke uTThe
baiThe rahe jo aas lagae tere dar se
baalin se wo uTh hi gae kahti rahi duniya
aise mein nahin uThte hain bimar ke ghar se
KHali na mili ek bhi but-KHane ki chaukhaT
allah ke joya jo phire apne safar se
'bismil' ne jo do din ke liye rish baDhai
wa'iz ki tarah gir gaya duniya ki nazar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.