dekha hai ek nazar unhen anjam jo bhi ho
dekhā hai ik nazar unheñ anjām jo bhī ho
qismat meñ apnī ai dil-e-nākām jo bhī ho
merī nazar pe saarā zamāna hai mo'tariz
lekin vo ik adā hai lab-e-bām jo bhī ho
imkān phir rihā.ī kī kartā hai koshisheñ
murġh-e-balā-nasīb tah-e-dām jo bhī ho
kuchh īn-o-āñ ko daḳhl nahīñ rāh-e-ishq meñ
ab un kā mere vāste paiġhām jo bhī ho
āñkhoñ meñ vaqt-e-dīd kuchh aañsū zarūr the
ham par ab is ke vāste ilzām jo bhī ho
kahtā hai dil kī baat magar apne sher meñ
qismat kā maarā 'āsī'-e-gumnām jo bhī ho
dekha hai ek nazar unhen anjam jo bhi ho
qismat mein apni ai dil-e-nakaam jo bhi ho
meri nazar pe sara zamana hai mo'tariz
lekin wo ek ada hai lab-e-baam jo bhi ho
imkan phir rihai ki karta hai koshishen
murgh-e-bala-nasib tah-e-dam jo bhi ho
kuchh in-o-an ko daKHl nahin rah-e-ishq mein
ab un ka mere waste paigham jo bhi ho
aankhon mein waqt-e-did kuchh aansu zarur the
hum par ab is ke waste ilzam jo bhi ho
kahta hai dil ki baat magar apne sher mein
qismat ka mara 'asi'-e-gumnam jo bhi ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.