dekha hai jab se aap bhi hain maliyon ke sath
dekhā hai jab se aap bhī haiñ māliyoñ ke saath
phūloñ kī umr baḌh ga.ī hai Dāliyoñ ke saath
jis sub.h naam aap kā paḌ jaa.e kaan meñ
bād-e-sabā bhī kheltī hai bāliyoñ ke saath
ash.ār mere aap ke dil tak pahuñch ga.e
thoḌā sā pyaar dījiye ab tāliyoñ ke saath
saarā chaman ujaaḌ ke baiThe haiñ 'andalīb'
kyā bāt-chīt kījiye ab māliyoñ ke saath
dekha hai jab se aap bhi hain maliyon ke sath
phulon ki umr baDh gai hai Daliyon ke sath
jis subh nam aap ka paD jae kan mein
baad-e-saba bhi khelti hai baaliyon ke sath
ashaar mere aap ke dil tak pahunch gae
thoDa sa pyar dijiye ab taliyon ke sath
sara chaman ujaD ke baiThe hain 'andalib'
kya baat-chit kijiye ab maliyon ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.