dekha hai jinko aapne patthar bane hue
dekhā hai jin ko aap ne patthar bane hue
lākhoñ ġharīb ke haiñ muqaddar bane hue
ghar-bār kyā ye duniyā ne duniyā hī chhīn lī
phir bhī ham aaj tak haiñ sikandar bane hue
jab tum kisī kī pyaas bujhā sakte hī nahīñ
phir kyoñ bhaTak rahe ho samundar bane hue
do chaar din meñ aap to māyūs ho ga.e
muddat huī qafas ko mirā ghar bane hue
kuchh fā.eda 'avām ko hāsil na ho sakā
'arsa huā hai tum ko to rahbar bane hue
vo puurī qaum ke liye nāsūr ban ga.e
'ātif' haiñ āj-kal jo qalandar bane hue
dekha hai jin ko aap ne patthar bane hue
lakhon gharib ke hain muqaddar bane hue
ghar-bar kya ye duniya ne duniya hi chhin li
phir bhi hum aaj tak hain sikandar bane hue
jab tum kisi ki pyas bujha sakte hi nahin
phir kyon bhaTak rahe ho samundar bane hue
do chaar din mein aap to mayus ho gae
muddat hui qafas ko mera ghar bane hue
kuchh faeda 'awam ko hasil na ho saka
'arsa hua hai tum ko to rahbar bane hue
wo puri qaum ke liye nasur ban gae
'atif' hain aaj-kal jo qalandar bane hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.