dekha hai raqs-e-shoala gul-o-lala-zar ne
dekhā hai raqs-e-sho.ala gul-o-lāla-zār ne
ḳhud āshiyāñ ko aag lagā dī bahār ne
siine meñ ab kahīñ bhī ḳhizāñ kā nishāñ nahīñ
yuuñ gul khilā diye haiñ dil-e-dāġhdār ne
maiñ kar chukā thā zabt ġham-e-ishq ko magar
luuTā mirā sukūn dil-e-be-qarār ne
āñkhoñ meñ dam rukā hai laboñ par hai terā naam
zinda faqat rakhā hai tire intizār ne
dohrā diyā tabāhī kā afsāna baar baar
sāz-e-dil-e-shikasta ke har ek taar ne
bahbūdī-e-chaman ke the sab mudda.ī magar
chhoḌā hai apnā farz har ik zimma-dār ne
hañs hañs ke un kā kahnā shab-e-vasl meñ 'riyāz'
be-bas kiyā hai aap ke qaul-o-qarār ne
dekha hai raqs-e-shoala gul-o-lala-zar ne
KHud aashiyan ko aag laga di bahaar ne
sine mein ab kahin bhi KHizan ka nishan nahin
yun gul khila diye hain dil-e-daghdar ne
main kar chuka tha zabt gham-e-ishq ko magar
luTa mera sukun dil-e-be-qarar ne
aankhon mein dam ruka hai labon par hai tera nam
zinda faqat rakha hai tere intizar ne
dohra diya tabahi ka afsana bar bar
saz-e-dil-e-shikasta ke har ek tar ne
bahbudi-e-chaman ke the sab muddai magar
chhoDa hai apna farz har ek zimma-dar ne
hans hans ke un ka kahna shab-e-wasl mein 'riyaz'
be-bas kiya hai aap ke qaul-o-qarar ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.