dekha hi na ho jis ne kabhi KHak se aage
dekhā hī na ho jis ne kabhī ḳhaak se aage
kyā us ko nazar aa.egā aflāk se aage
vo ġham bhī uThā.e haiñ tire ishq meñ ai jaañ
uThte hī na the jo dil-e-sad-chāk se aage
dil mausam-e-hijrāñ meñ kahīñ mar na gayā ho
dekho to kabhī dīda-e-namnāk se aage
ik fasl-e-bahārāñ hai mire rūh-o-badan par
ik baaġh khilā hai tirī poshāk se aage
shāmil to haiñ ham qāfila-e-hosh-o-ḳhirad meñ
jaanā hai magar manzil-e-idrāk se aage
dekha hi na ho jis ne kabhi KHak se aage
kya us ko nazar aaega aflak se aage
wo gham bhi uThae hain tere ishq mein ai jaan
uThte hi na the jo dil-e-sad-chaak se aage
dil mausam-e-hijran mein kahin mar na gaya ho
dekho to kabhi dida-e-namnak se aage
ek fasl-e-bahaaran hai mere ruh-o-badan par
ek bagh khila hai teri poshak se aage
shamil to hain hum qafila-e-hosh-o-KHirad mein
jaana hai magar manzil-e-idrak se aage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.