dekha na kisi ne tha sitare pe sitara
dekhā na kisī ne thā sitāre pe sitāra
chamkā tire ḳhush-rang ġharāre pe sitāra
ab kitne sitāre mire saare pe haiñ raushan
thā ek farozāñ mire saare pe sitāra
maiñ kashf ke bā-vasf nahīñ dekh sakā thā
is rang se dariyā ke kināre pe sitāra
niklā hai ishāre pe sitāra sar-e-āfāq
āfāq meñ Dūbegā ishāre pe sitāra
aatā hai nazar ḳhvāb ke tārīk jahāñ meñ
'āshiq hai kisī ḳhvāb ke maare pe sitāra
ye aur dayāroñ meñ mohabbat nahīñ milnī
nigrāñ hai isī shahr hamāre pe sitāra
galiyoñ ko munavvar bhī bahut kartā hai lekin
sajtā hai pa rangoñ bhare dhāre pe sitāra
chamkegā siyah raat ke siine se nikal kar
is vaqt nahīñ 'ain nazāre pe sitāra
ḳhud apne bharose pe ubhartā hai har ik raat
kāñpe na kisī aur ke paare pe sitāra
dekha na kisi ne tha sitare pe sitara
chamka tere KHush-rang gharare pe sitara
ab kitne sitare mere sare pe hain raushan
tha ek farozan mere sare pe sitara
main kashf ke ba-wasf nahin dekh saka tha
is rang se dariya ke kinare pe sitara
nikla hai ishaare pe sitara sar-e-afaq
aafaq mein Dubega ishaare pe sitara
aata hai nazar KHwab ke tarik jahan mein
'ashiq hai kisi KHwab ke mare pe sitara
ye aur dayaron mein mohabbat nahin milni
nigran hai isi shahr hamare pe sitara
galiyon ko munawwar bhi bahut karta hai lekin
sajta hai pa rangon bhare dhaare pe sitara
chamkega siyah raat ke sine se nikal kar
is waqt nahin 'ain nazare pe sitara
KHud apne bharose pe ubharta hai har ek raat
kanpe na kisi aur ke pare pe sitara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.