dekha na un ko jaan ke bach kar nikal gae
dekhā na un ko jaan ke bach kar nikal ga.e
ye ek chaal ham bhī qayāmat kī chal ga.e
ham rāh-e-zindagī meñ bhaTak kar sañbhal ga.e
har qāfile ko chhoḌ ke aage nikal ga.e
ḳhushiyoñ kā zikr kyā ki fareb-e-hayāt thiiñ
ġham mo'atabar the ishq ke sāñche meñ Dhal ga.e
kyā ġham shab-e-alam kā ubharne do tīrgī
siine meñ sau charāġh sar-e-shām jal ga.e
dekhā jab ahl-e-bazm ne mujh kaj-kulāh ko
nazreñ badal ga.iiñ kabhī tevar badal ga.e
ai ham-nashīñ na pūchh ma.āl-e-shab-e-umīd
jo ḳhvāb ham ne dekhe the vo ḳhvāb jal ga.e
'azmat' ye kyā huā ki tumhāre tamām raaz
ashkoñ meñ Dhal ga.e kabhī sheroñ meñ Dhal ga.e
dekha na un ko jaan ke bach kar nikal gae
ye ek chaal hum bhi qayamat ki chal gae
hum rah-e-zindagi mein bhaTak kar sanbhal gae
har qafile ko chhoD ke aage nikal gae
KHushiyon ka zikr kya ki fareb-e-hayat thin
gham mo'atabar the ishq ke sanche mein Dhal gae
kya gham shab-e-alam ka ubharne do tirgi
sine mein sau charagh sar-e-sham jal gae
dekha jab ahl-e-bazm ne mujh kaj-kulah ko
nazren badal gain kabhi tewar badal gae
ai ham-nashin na puchh maal-e-shab-e-umid
jo KHwab hum ne dekhe the wo KHwab jal gae
'azmat' ye kya hua ki tumhaare tamam raaz
ashkon mein Dhal gae kabhi sheron mein Dhal gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.