dekhe hain dil-nashin manazir hijab ke
dekhe haiñ dil-nashīn manāzir hijāb ke
hote haiñ rang saiñkaḌoñ pāgal jo ḳhvāb ke
ḳhushbū jise samajhte ho hai ḳhūn-e-zaḳhm-e-gul
dekhe nahīñ haiñ zaḳhm kisī ne gulāb ke
ye kyā huā ki ġhaur se dekhā thā un ko bas
rang uḌ ga.e haiñ dekhiye kaise janāb ke
miltī hai raushnī unheñ ehsās se mire
dīvāne haiñ vo is liye merī kitāb ke
un ko milā hai dekhiye āsān thā jinheñ
kyā ma.anī rah ga.e haiñ bhalā is ḳhitāb ke
dekhe hain dil-nashin manazir hijab ke
hote hain rang sainkaDon pagal jo KHwab ke
KHushbu jise samajhte ho hai KHun-e-zaKHm-e-gul
dekhe nahin hain zaKHm kisi ne gulab ke
ye kya hua ki ghaur se dekha tha un ko bas
rang uD gae hain dekhiye kaise janab ke
milti hai raushni unhen ehsas se mere
diwane hain wo is liye meri kitab ke
un ko mila hai dekhiye aasan tha jinhen
kya mani rah gae hain bhala is KHitab ke
- Book : آہٹ دیوان عزیز (Pg. 306)
- Author : ارشاد عزیز
- Publication : مرکزی پبلیکیشنز،نئی دہلی (2022)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.