dekhe hain jab se aab mein hanste hue kanwal
dekhe haiñ jab se aab meñ hañste hue kañval
aane lage haiñ ḳhvāb meñ hañste hue kañval
aise haiñ surḳh hoñTh gulābī se 'aks par
rakkhe haiñ jyuuñ gulāb meñ hañste hue kañval
āñkheñ ḳhumār se bharī saaqī kī dekh kar
dikhne lage sharāb meñ hañste hue kañval
jab se huā hai 'ishq hameñ ik hasīn se
dikhte haiñ har shabāb meñ hañste hue kañval
us vaqt ik ḳhumār sā mahfil pe chhā gayā
jab aa ga.e naqāb meñ hañste hue kañval
bheje the ḳhat laboñ se kabhī us ne chuum kar
vo mil ga.e kitāb meñ hañste hue kañval
dekhe hain jab se aab mein hanste hue kanwal
aane lage hain KHwab mein hanste hue kanwal
aise hain surKH honTh gulabi se 'aks par
rakkhe hain jyun gulab mein hanste hue kanwal
aankhen KHumar se bhari saqi ki dekh kar
dikhne lage sharab mein hanste hue kanwal
jab se hua hai 'ishq hamein ek hasin se
dikhte hain har shabab mein hanste hue kanwal
us waqt ek KHumar sa mahfil pe chha gaya
jab aa gae naqab mein hanste hue kanwal
bheje the KHat labon se kabhi us ne chum kar
wo mil gae kitab mein hanste hue kanwal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.