dekhe jo dil ki shoala-fishani ke hausle
dekhe jo dil kī sho.ala-fishānī ke hausle
sahme hue haiñ us kī javānī ke hausle
dekhā mujhe to phir vo achānak kahāñ ga.e
ai teġh-e-nāz terī ravānī ke hausle
maiñ paar kar ke niklā huuñ tūfān-e-bahr-husn
pahlū meñ mere aa ga.e paanī ke hausle
us kī nazar kā aks paḌā merī fikr par
us ne baḌhā.e lafz-o-ma.ānī ke hausle
muhtāj us kā ho gayā hastī kā saaz bhī
ye rang laa.e soz-e-nihānī ke hausle
ham se ab us ke baare meñ pūchhe na koī kuchh
dekhe haiñ ham ne raat kī raanī ke hausle
bāzār-e-dil meñ baañT dī jins-e-girāñ 'suhail'
yuuñ ham ne toḌ Daale girānī ke hausle
dekhe jo dil ki shoala-fishani ke hausle
sahme hue hain us ki jawani ke hausle
dekha mujhe to phir wo achanak kahan gae
ai tegh-e-naz teri rawani ke hausle
main par kar ke nikla hun tufan-e-bahr-husn
pahlu mein mere aa gae pani ke hausle
us ki nazar ka aks paDa meri fikr par
us ne baDhae lafz-o-maani ke hausle
muhtaj us ka ho gaya hasti ka saz bhi
ye rang lae soz-e-nihani ke hausle
hum se ab us ke bare mein puchhe na koi kuchh
dekhe hain hum ne raat ki rani ke hausle
bazar-e-dil mein banT di jins-e-giran 'suhail'
yun hum ne toD Dale girani ke hausle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.