dekhe jo ek bar ruKH-e-yar ki taraf
dekhe jo ek baar ruḳh-e-yār kī taraf
phir umr-bhar na jaa.e vo gulzār kī taraf
ho dekhnā jise mizha-e-yār kī taraf
dekhe vo pahle ḳhanjar-e-ḳhūñ-ḳhār kī taraf
apnī jagah se ham nahīñ uTThe ye soch kar
dil hai to ḳhud hī jā.egā dildār kī taraf
kis ke nasīb jāgne vaale haiñ kyā ḳhabar
rah rah ke dekhte haiñ vo talvār kī taraf
us dar pe kaun hai ki vahāñ se koī sadā
aa aa ke lauT jaatī hai dīvār kī taraf
mailān-e-tab.a-e-yār ajab hai ki in dinoñ
apnoñ hī kī taraf hai na aġhyār kī taraf
iqrār kī dikhā koī sūrat ki ai ḳhudā
muñh pher kar vo baiThe haiñ inkār kī taraf
rahmat tirī sahārā banī varna hashr meñ
koī nahīñ thā mujh se gunahgār kī taraf
'mahfūz' taḳht-gāh-e-qanā.at hai aur ham
kyoñ uTh ke jaa.eñ ab kisī darbār kī taraf
dekhe jo ek bar ruKH-e-yar ki taraf
phir umr-bhar na jae wo gulzar ki taraf
ho dekhna jise mizha-e-yar ki taraf
dekhe wo pahle KHanjar-e-KHun-KHar ki taraf
apni jagah se hum nahin uTThe ye soch kar
dil hai to KHud hi jaega dildar ki taraf
kis ke nasib jagne wale hain kya KHabar
rah rah ke dekhte hain wo talwar ki taraf
us dar pe kaun hai ki wahan se koi sada
aa aa ke lauT jati hai diwar ki taraf
mailan-e-taba-e-yar ajab hai ki in dinon
apnon hi ki taraf hai na aghyar ki taraf
iqrar ki dikha koi surat ki ai KHuda
munh pher kar wo baiThe hain inkar ki taraf
rahmat teri sahaara bani warna hashr mein
koi nahin tha mujh se gunahgar ki taraf
'mahfuz' taKHt-gah-e-qanaat hai aur hum
kyon uTh ke jaen ab kisi darbar ki taraf
- Book : غبار حیرانی (Pg. 58)
- Author : احمد محفوظ
- Publication : ایم۔آر پبلی کیشنز (2022)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.