dekhe shakl-e-barq-e-alam-tab us dildar ki
dekhe shakl-e-barq-e-ālam-tāb us dildār kī
hai ye diida hai ye jur.at nargis-e-bīmār kī
vo but-e-nākām mujh ko dekhne aatā hai kab
naza.a meñ pathrā ga.iiñ jab aañkh mujh bīmār kī
aur tū legā nahīñ koī shab-e-furqat ḳhabar
aane jaane vaalī bas ik saañs hai bīmār kī
haif jaisā huuñ na martā huuñ tumhāre hijr meñ
kashmakash meñ jaan hai mujh āshiq-e-bīmār kī
ab to le us kī ḳhabar lillāh ai īsā-nafas
hai digar-gūñ in dinoñ hālat tire bīmār kī
ik nazar tum dekh lo us ko to sehat hai use
āzmūda ye davā hai aañkh ke bīmār kī
ik nazar us ko bhī dekho had se guzrā intizār
ab to pathrā.ī haiñ āñkheñ nargis-e-bīmār kī
dil farishtoñ ke dahal jaate haiñ 'sābir' ḳhauf se
arsh tak jaatī hai jab fariyād mujh bīmār kī
dekhe shakl-e-barq-e-alam-tab us dildar ki
hai ye dida hai ye jurat nargis-e-bimar ki
wo but-e-nakaam mujh ko dekhne aata hai kab
naza mein pathra gain jab aankh mujh bimar ki
aur tu lega nahin koi shab-e-furqat KHabar
aane jaane wali bas ek sans hai bimar ki
haif jaisa hun na marta hun tumhaare hijr mein
kashmakash mein jaan hai mujh aashiq-e-bimar ki
ab to le us ki KHabar lillah ai isa-nafas
hai digar-gun in dinon haalat tere bimar ki
ek nazar tum dekh lo us ko to sehat hai use
aazmuda ye dawa hai aankh ke bimar ki
ek nazar us ko bhi dekho had se guzra intizar
ab to pathrai hain aankhen nargis-e-bimar ki
dil farishton ke dahal jate hain 'sabir' KHauf se
arsh tak jati hai jab fariyaad mujh bimar ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.