dekhe to sahi koi ye anjuman-arai
dekhe to sahī koī ye anjuman-ārā.ī
hai mahfil-e-yārāñ meñ tanhā.ī hī tanhā.ī
insān ko jab apnī pahchān nahīñ aa.ī
kis kaam kī bīnā.ī kis kaam kī dānā.ī
yūñhī to nahīñ miltī logoñ se pazīrā.ī
saudā.ī to haiñ lekin lagte nahīñ saudā.ī
is darja junūñ-ḳhezī is haal pe le aa.ī
ham apne tamāshe ke haiñ ḳhud hī tamāshā.ī
jo bhī haiñ zamāne meñ shohrat ke tamannā.ī
dekhī hai 'saġhīr' un kī rusvā.ī pe rusvā.ī
dekhe to sahi koi ye anjuman-arai
hai mahfil-e-yaran mein tanhai hi tanhai
insan ko jab apni pahchan nahin aai
kis kaam ki binai kis kaam ki danai
yunhi to nahin milti logon se pazirai
saudai to hain lekin lagte nahin saudai
is darja junun-KHezi is haal pe le aai
hum apne tamashe ke hain KHud hi tamashai
jo bhi hain zamane mein shohrat ke tamannai
dekhi hai 'saghir' un ki ruswai pe ruswai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.