dekhenge meri aahon ke ek din asar ko aap
dekheñge merī aahoñ ke ik din asar ko aap
ā.eñge lauT kar yahīñ thāme jigar ko aap
bhīnī sī ek mad-bharī uḌtī sugandh hai
khilte gulāb laakh haiñ jaa.eñ jidhar ko aap
jo bhī milā hai aap kā dīvāna ban gayā
lete haiñ pal hī meñ churā dil aur jigar ko aap
baiThe haiñ aaj kuchh yahāñ 'nāsir' raqīb bhī
dil ko zarā sañbhāl ke pheñkeñ idhar ko aap
dekhenge meri aahon ke ek din asar ko aap
aaenge lauT kar yahin thame jigar ko aap
bhini si ek mad-bhari uDti sugandh hai
khilte gulab lakh hain jaen jidhar ko aap
jo bhi mila hai aap ka diwana ban gaya
lete hain pal hi mein chura dil aur jigar ko aap
baiThe hain aaj kuchh yahan 'nasir' raqib bhi
dil ko zara sanbhaal ke phenken idhar ko aap
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.