dekhi hai jo patjhaD ki faza soch raha hun
dekhī hai jo patjhaḌ kī fazā soch rahā huuñ
anjām yahī hogā mirā soch rahā huuñ
māñgūñ to vo ulTā hī asar apnā dikhā.e
kyā naam isī kā hai duā soch rahā huuñ
aġhyār hī kā zikr faqat maiñ ne kiyā thā
apne hue kyoñ mujh se ḳhafā soch rahā huuñ
anjām jo āġhāz-e-bahārāñ se milā hai
kyā us ne gulistāñ ko diyā soch rahā huuñ
bartāv sitamgar kā to ma.alūm hai lekin
kyā ahl-e-mohabbat se milā soch rahā huuñ
āġhosh-e-taġhāful meñ jo barsoñ se paḌā thā
hushiyār vahī kaise huā soch rahā huuñ
kyoñ ḳhud ko na pahchān sakā dekh ke 'nādim'
ā.īne ke aage maiñ khaḌā soch rahā huuñ
dekhi hai jo patjhaD ki faza soch raha hun
anjam yahi hoga mera soch raha hun
mangun to wo ulTa hi asar apna dikhae
kya nam isi ka hai dua soch raha hun
aghyar hi ka zikr faqat main ne kiya tha
apne hue kyon mujh se KHafa soch raha hun
anjam jo aaghaz-e-bahaaran se mila hai
kya us ne gulistan ko diya soch raha hun
bartaw sitamgar ka to malum hai lekin
kya ahl-e-mohabbat se mila soch raha hun
aaghosh-e-taghaful mein jo barson se paDa tha
hushiyar wahi kaise hua soch raha hun
kyon KHud ko na pahchan saka dekh ke 'nadim'
aaine ke aage main khaDa soch raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.