dekhiye dil ki bebasi ki taraf
dekhiye dil kī bebasī kī taraf
Doltā hai jo aap hī kī taraf
kitne parde rakhe the ġhaflat ne
kaun le aayā āgahī kī taraf
is patange kā dekhnā dekhā
dekhtā thā jo raushnī kī taraf
yā'nī phir chhoḌ kar lihāz sabhī
lauT aaoge ḳhud-sarī kī taraf
maut ke ḳhauf se hue āzād
saañs khīñche hai ḳhud-kushī kī taraf
us kī chaukhaT pe khojnā ham ko
ham mileñge usī galī kī taraf
dekhiye dil ki bebasi ki taraf
Dolta hai jo aap hi ki taraf
kitne parde rakhe the ghaflat ne
kaun le aaya aagahi ki taraf
is patange ka dekhna dekha
dekhta tha jo raushni ki taraf
ya'ni phir chhoD kar lihaz sabhi
lauT aaoge KHud-sari ki taraf
maut ke KHauf se hue aazad
sans khinche hai KHud-kushi ki taraf
us ki chaukhaT pe khojna hum ko
hum milenge usi gali ki taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.