dekhiye kitne suKHan-fahm suKHan-war aae
dekhiye kitne suḳhan-fahm suḳhan-var aa.e
maiñ ne ik phuul uThāyā ka.ī patthar aa.e
kar chuke tark-e-ta'alluq to use sochnā kyā
dil se niklā hai to vo yaad bhī kyuuñ kar aa.e
phir vahī raat ho bādal hoñ havā chaltī ho
phir vahī chāñd daraḳhtoñ se nikal kar aa.e
raah hamvār muqaddar meñ nahīñ thī shāyad
paañv niklā thā abhī ghar se ki patthar aa.e
ek do gām-e-masāfat thī tirī galiyoñ kī
saarī duniyā kī thakan laad ke ham ghar aa.e
jang jaarī hai abhī jāgte rahiye shab-bhar
jaane kas oT se chhup kar koī lashkar aa.e
kyā koī ġham ke gañvāne kā hunar haath aayā
muskurāte hue jo ranj ke ḳhūgar aa.e
dekh kar jis kī jhalak jaan meñ jaan aatī thī
ab sar-e-rāh use dekh ke chakkar aa.e
is baras phuul ziyāda na sahī shāḳhoñ par
bārisheñ kam thiiñ magar rang barābar aa.e
ab to is niiñd meñ chalte hue uktā ga.e ham
ab to behtar hai kisī moḌ pe Thokar aa.e
ek do pal to farāmosh bhī kar deñ us ko
haañ agar shaḳhs koī yaad barābar aa.e
ġham-gusāroñ meñ mire chāragaroñ meñ aksar
mere dushman bhī ka.ī bhes badal kar aa.e
log kis ḳhvāb se rote hue uTThe 'jānāñ'
jaane kis qarya-e-mātam se ye bāhar aa.e
dekhiye kitne suKHan-fahm suKHan-war aae
main ne ek phul uThaya kai patthar aae
kar chuke tark-e-ta'alluq to use sochna kya
dil se nikla hai to wo yaad bhi kyun kar aae
phir wahi raat ho baadal hon hawa chalti ho
phir wahi chand daraKHton se nikal kar aae
rah hamwar muqaddar mein nahin thi shayad
panw nikla tha abhi ghar se ki patthar aae
ek do gam-e-masafat thi teri galiyon ki
sari duniya ki thakan lad ke hum ghar aae
jang jari hai abhi jagte rahiye shab-bhar
jaane kas oT se chhup kar koi lashkar aae
kya koi gham ke ganwane ka hunar hath aaya
muskuraate hue jo ranj ke KHugar aae
dekh kar jis ki jhalak jaan mein jaan aati thi
ab sar-e-rah use dekh ke chakkar aae
is baras phul ziyaada na sahi shaKHon par
barishen kam thin magar rang barabar aae
ab to is nind mein chalte hue ukta gae hum
ab to behtar hai kisi moD pe Thokar aae
ek do pal to faramosh bhi kar den us ko
han agar shaKHs koi yaad barabar aae
gham-gusaron mein mere chaaragaron mein aksar
mere dushman bhi kai bhes badal kar aae
log kis KHwab se rote hue uTThe 'jaanan'
jaane kis qarya-e-matam se ye bahar aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.