dekhna hai pyas ke sahra ka pas-manzar to aa
dekhnā hai pyaas ke sahrā kā pas-manzar to aa
ai samandar tū hamāre jism ke andar to aa
dekh phir jāmid manāzir ke lahakne kā samāñ
ai nashāt-e-harf-e-tāza tū mire lab par to aa
ik sukūt-e-bekarāñ rag-rag meñ hai utrā huā
tū uThā saktā hai apne ḳhuun se mahshar to aa
qatra qatra de chukā huuñ apne hī ḳhuuñ kā qisās
ab bhī tishna hai tire insāf kā ḳhanjar to aa
maiñ ḳhudā kī tarh tanhā.ī ke sho'loñ meñ jalūñ
tū bhī hai is karb-e-tanhā.ī kā paiġhambar to aa
dekh raushan ho ga.e haiñ naqsh-e-lauh-e-āftāb
shāhzāde ab tilism-e-ḳhvāb se bāhar to aa
dekhna hai pyas ke sahra ka pas-manzar to aa
ai samandar tu hamare jism ke andar to aa
dekh phir jamid manazir ke lahakne ka saman
ai nashat-e-harf-e-taza tu mere lab par to aa
ek sukut-e-bekaran rag-rag mein hai utra hua
tu uTha sakta hai apne KHun se mahshar to aa
qatra qatra de chuka hun apne hi KHun ka qisas
ab bhi tishna hai tere insaf ka KHanjar to aa
main KHuda ki tarh tanhai ke sho'lon mein jalun
tu bhi hai is karb-e-tanhai ka paighambar to aa
dekh raushan ho gae hain naqsh-e-lauh-e-aftab
shahzade ab tilism-e-KHwab se bahar to aa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.