dekhna hai yun bhi kuchh taskin pa sakta hun main
dekhnā hai yuuñ bhī kuchh taskīn pā saktā huuñ maiñ
zabt-e-hasrat ek do aañsū bahā saktā huuñ maiñ
koshisheñ nākām ummīdoñ kī duniyā pā.emāl
zindagī ko zindagī kis tarah pā saktā huuñ maiñ
fasl-e-gul mahkī huī rāteñ vafūr-e-be-ḳhudī
is fasāne ko haqīqat bhī banā saktā huuñ maiñ
sochnā thā apnī barbādī se pahle hī mujhe
aadmī hote hue Thokar bhī khā saktā huuñ maiñ
farq-e-nauiyat hai lekin ishq bhī muḳhtār hai
muskurā sakte haiñ vo aañsū bahā saktā huuñ maiñ
ab bhī duniyā meñ vafā kā naam baaqī hai 'sahar'
bhūlne vaale ko ab bhī yaad aa saktā huuñ maiñ
dekhna hai yun bhi kuchh taskin pa sakta hun main
zabt-e-hasrat ek do aansu baha sakta hun main
koshishen nakaam ummidon ki duniya paemal
zindagi ko zindagi kis tarah pa sakta hun main
fasl-e-gul mahki hui raaten wafur-e-be-KHudi
is fasane ko haqiqat bhi bana sakta hun main
sochna tha apni barbaadi se pahle hi mujhe
aadmi hote hue Thokar bhi kha sakta hun main
farq-e-nauiyat hai lekin ishq bhi muKHtar hai
muskura sakte hain wo aansu baha sakta hun main
ab bhi duniya mein wafa ka nam baqi hai 'sahar'
bhulne wale ko ab bhi yaad aa sakta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.