dekhne ko phul mein mashghul hai
dekhne ko phuul meñ mashġhūl hai
ḳhaar dāman meñ haiñ sar pe dhuul hai
ek to lahja tirā hai nā-ravā
us pe terī baat nā-mā'qūl hai
girya-o-mātam hai sāhab zindagī
muskurānā aadmī kī bhuul hai
jaane vaale log kab ke jā chuke
dhuul hai ab raah meñ bas dhuul hai
haiñ ġhalat ye aap kī ḳhush-fahmiyāñ
muskurānā to mirā mā'mūl hai
khā ga.iiñ us ko bhī ye gum-nāmiyāñ
chhoḌiye 'ārif' kahāñ maqbūl hai
dekhne ko phul mein mashghul hai
KHar daman mein hain sar pe dhul hai
ek to lahja tera hai na-rawa
us pe teri baat na-ma'qul hai
girya-o-matam hai sahab zindagi
muskurana aadmi ki bhul hai
jaane wale log kab ke ja chuke
dhul hai ab rah mein bas dhul hai
hain ghalat ye aap ki KHush-fahmiyan
muskurana to mera ma'mul hai
kha gain us ko bhi ye gum-namiyan
chhoDiye 'arif' kahan maqbul hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.