dekhne mein to lubhati hai banawaT kitni
dekhne meñ to lubhātī hai banāvaT kitnī
kis ko mā'lūm ki andar hai milāvaT kitnī
bhurbhurā khokhlā hai jis ko bhī chhū kar dekho
pahle har chiiz meñ hotī thī kasāvaT kitnī
baḌhtī jaatī hai makānoñ kī bulandī har roz
ye na pūchho hai makīnoñ meñ girāvaT kitnī
kaam to koī bhī hālāñki nahīñ karne ko
raat din jism meñ rahtī hai thakāvaT kitnī
merī hālat pe bahut aap hañsā karte the
dekhiye hai mirī arthī meñ sajāvaT kitnī
dekhne mein to lubhati hai banawaT kitni
kis ko ma'lum ki andar hai milawaT kitni
bhurbhura khokhla hai jis ko bhi chhu kar dekho
pahle har chiz mein hoti thi kasawaT kitni
baDhti jati hai makanon ki bulandi har roz
ye na puchho hai makinon mein girawaT kitni
kaam to koi bhi haalanki nahin karne ko
raat din jism mein rahti hai thakawaT kitni
meri haalat pe bahut aap hansa karte the
dekhiye hai meri arthi mein sajawaT kitni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.