dekhne se KHalal paDega kya
dekhne se ḳhalal paḌegā kyā
'aks paanī meñ chal paḌegā kyā
ġhaur se mujh ko dekhne vaale
misl-e-ḳhurshīd jal paḌegā kyā
ḳhāna-e-dil ke band kamre se
rahne vaale nikal paḌegā kyā
koī manzil nahīñ mirī phir bhī
rāste meñ hī kal paḌegā kyā
ek vīrāna mere andar hai
raah meñ phir bhī thal paḌegā kyā
jaisā manzar dikhā.ī detā hai
mujh meñ sūraj nikal paḌegā kyā
vaqt thāme khaḌā hai haal mirā
tū kahegā to chal paḌegā kyā
dekhne se KHalal paDega kya
'aks pani mein chal paDega kya
ghaur se mujh ko dekhne wale
misl-e-KHurshid jal paDega kya
KHana-e-dil ke band kamre se
rahne wale nikal paDega kya
koi manzil nahin meri phir bhi
raste mein hi kal paDega kya
ek virana mere andar hai
rah mein phir bhi thal paDega kya
jaisa manzar dikhai deta hai
mujh mein suraj nikal paDega kya
waqt thame khaDa hai haal mera
tu kahega to chal paDega kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.