dekhne wale bahaar-e-gulsitan dekha kiye
dekhne vaale bahār-e-gulsitāñ dekhā kiye
aur ham rang-e-adā-e-bāġhbāñ dekhā kiye
kab vo hañs hañs kar mujhe girya-kunāñ dekhā kiye
ijtimā-e-barq-o-bārāñ kā samāñ dekhā kiye
ham qafas meñ bhī ye jaur-e-bāġhbāñ dekhā kiye
qat.a hote apnī shāḳh-e-āshiyāñ dekhā kiye
umr bhar qismat kī ye nairangiyāñ dekhā kiye
yaar ko aġhyār par ham mehrbāñ dekhā kiye
sajda kaisā paas tak pahuñche na az-pās-e-adab
duur se ham un kā sang-e-āstāñ dekhā kiye
un kī āñkheñ chaar hote hī jhukīñ sū-e-zamīn
aur ham hairat se rū-e-āsmāñ dekhā kiye
maiñ umīd-e-lutf meñ mahv-e-jabīñ-sā.ī rahā
vo mirā zauq-e-sujūd-e-āstāñ dekhā kiye
mujh se un kī be-hijābī tak na dekhī jā sakī
aur vo baiThe mirī rusvā.iyāñ dekhā kiye
ishq kī duniyā meñ ai 'kaukab' maiñ huuñ vo māh-rū
rahnumā ḳhud mere qadmoñ ke nishāñ dekhā kiye
dekhne wale bahaar-e-gulsitan dekha kiye
aur hum rang-e-ada-e-baghban dekha kiye
kab wo hans hans kar mujhe girya-kunan dekha kiye
ijtima-e-barq-o-baran ka saman dekha kiye
hum qafas mein bhi ye jaur-e-baghban dekha kiye
qata hote apni shaKH-e-ashiyan dekha kiye
umr bhar qismat ki ye nairangiyan dekha kiye
yar ko aghyar par hum mehrban dekha kiye
sajda kaisa pas tak pahunche na az-pas-e-adab
dur se hum un ka sang-e-astan dekha kiye
un ki aankhen chaar hote hi jhukin su-e-zamin
aur hum hairat se ru-e-asman dekha kiye
main umid-e-lutf mein mahw-e-jabin-sai raha
wo mera zauq-e-sujud-e-astan dekha kiye
mujh se un ki be-hijabi tak na dekhi ja saki
aur wo baiThe meri ruswaiyan dekha kiye
ishq ki duniya mein ai 'kaukab' main hun wo mah-ru
rahnuma KHud mere qadmon ke nishan dekha kiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.