dekhne wale ki aankhon ka guman hota hai
dekhne vaale kī āñkhoñ kā gumāñ hotā hai
ret par varna kahāñ āb-e-ravāñ hotā hai
is udāsī meñ tire jism kā nau-ḳhez gulāb
jaise sahrā meñ koī mīThā kuaañ hotā hai
pyaar kā phuul har ik daur meñ taaza hī rahe
ruḳh badaltā bhī hai dariyā to ravāñ hotā hai
baḳht kī niiñd bujhāne kī ghaḌī aatī hai
ḳhvāb kā taḳht ulaTtā hai dhuāñ hotā hai
ba.az auqāt badan oḌh ke Dar jaatā huuñ
mujh ko malbūs meñ bhī terā gumāñ hotā hai
apnī chhāñv meñ mujhe baiThne detā hī nahīñ
peḌ jo bhī mire pahlū meñ javāñ hotā hai
is kā matlab ki yahāñ ġham kī koī qadr nahīñ
jis ko bhī dekho vahī mahv-e-fuġhāñ hotā hai
let jaatā huuñ rivāyāt kī dīvār ke saath
log kahte haiñ yahāñ ishq javāñ hotā hai
ḳhāmushī chhoḌ ga.ī kaisī namī hoñToñ par
lafz kī aag jalātā huuñ dhuāñ hotā hai
husn har rang meñ tahsīn ke laa.eq hai 'munīr'
peḌ sūkhā ho to ibrat kā nishāñ hotā hai
dekhne wale ki aankhon ka guman hota hai
ret par warna kahan aab-e-rawan hota hai
is udasi mein tere jism ka nau-KHez gulab
jaise sahra mein koi miTha kuan hota hai
pyar ka phul har ek daur mein taza hi rahe
ruKH badalta bhi hai dariya to rawan hota hai
baKHt ki nind bujhane ki ghaDi aati hai
KHwab ka taKHt ulaTta hai dhuan hota hai
baz auqat badan oDh ke Dar jata hun
mujh ko malbus mein bhi tera guman hota hai
apni chhanw mein mujhe baiThne deta hi nahin
peD jo bhi mere pahlu mein jawan hota hai
is ka matlab ki yahan gham ki koi qadr nahin
jis ko bhi dekho wahi mahw-e-fughan hota hai
let jata hun riwayat ki diwar ke sath
log kahte hain yahan ishq jawan hota hai
KHamushi chhoD gai kaisi nami honTon par
lafz ki aag jalata hun dhuan hota hai
husn har rang mein tahsin ke laeq hai 'munir'
peD sukha ho to ibrat ka nishan hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.