dekhne wale ye bole chashm-ha-e-yar ke
dekhne vaale ye bole chashm-hā-e-yār ke
ye to mastāne haiñ shāyad ḳhāna-e-ḳhammār ke
dil mirā shāyad hai shaidāoñ meñ tīr-e-yār ke
zaḳhm-hā-e-dil mushābah haiñ lab-e-sofār ke
paar utārā bahr-e-nā-paidā-kanār-e-ishq se
sadqe jā.ūñ kyoñ na terī teġh-e-langar-dār ke
uTh sakā hargiz kisī sūrat na terā nā-tavāñ
dab gayā jo nīche tere sāya-e-dīvār ke
kyā ḳhabar us ko ki kab raat aa.ī aur kab din gayā
roz-o-shab yaksāñ haiñ aage chashm-e-shab-bedār ke
jāñ-fazā.ī ġham-rubā.ī dilkashī farhat-dahī
haiñ ḳhavās-e-ḳhās ye ḳhāk-e-dar-e-dildār ke
jo dikhā de jalva rū-e-shāhid-e-maqsūd kā
sadqe saaqī is sharāb-e-ā.ina-kirdār ke
ishq meñ us but ke rahbān-o-shuyūḳh-o-barhaman
haiñ ye sab ke sab muqayyad rishta-e-zunnār ke
bole behtar hai husūl-e-ārzū se aarzū
vaah sadqe jā.iye is pahlū-e-inkār ke
ġham uThānā zulm sahnā sabr karnā yā ki shukr
kaun hai husn-e-amal laa.eq tirī sarkār ke
kyoñ na maiñ samjhūñ ki mujh ko mil ga.ī dād-e-suḳhan
vo bahut shā.eq haiñ ai 'bedil' mire ash.ār ke
dekhne wale ye bole chashm-ha-e-yar ke
ye to mastane hain shayad KHana-e-KHammar ke
dil mera shayad hai shaidaon mein tir-e-yar ke
zaKHm-ha-e-dil mushabah hain lab-e-sofar ke
par utara bahr-e-na-paida-kanar-e-ishq se
sadqe jaun kyon na teri tegh-e-langar-dar ke
uTh saka hargiz kisi surat na tera na-tawan
dab gaya jo niche tere saya-e-diwar ke
kya KHabar us ko ki kab raat aai aur kab din gaya
roz-o-shab yaksan hain aage chashm-e-shab-bedar ke
jaan-fazai gham-rubai dilkashi farhat-dahi
hain KHawas-e-KHas ye KHak-e-dar-e-dildar ke
jo dikha de jalwa ru-e-shahid-e-maqsud ka
sadqe saqi is sharab-e-aina-kirdar ke
ishq mein us but ke rahban-o-shuyuKH-o-barhaman
hain ye sab ke sab muqayyad rishta-e-zunnar ke
bole behtar hai husul-e-arzu se aarzu
wah sadqe jaiye is pahlu-e-inkar ke
gham uThana zulm sahna sabr karna ya ki shukr
kaun hai husn-e-amal laeq teri sarkar ke
kyon na main samjhun ki mujh ko mil gai dad-e-suKHan
wo bahut shaeq hain ai 'bedil' mere ashaar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.