dekhne walo kaho dil mein kasak hai ki nahin
dekhne walo kaho dil mein kasak hai ki nahin
Haidar Husain Fiza Lucknowi
MORE BYHaidar Husain Fiza Lucknowi
dekhne vaalo kaho dil meñ kasak hai ki nahīñ
un ke chehre pe mire ġham kī jhalak hai ki nahīñ
aap ke hijr meñ rotā hai ye dil aaTh pahar
dekhiye nam mire ashkoñ se palak hai ki nahīñ
tund lahje meñ kiyā tū ne sadā mujh se kalām
terī āvāz meñ kuchh loch lachak hai ki nahīñ
be-ruḳhī se tirī dil merā huā hai ghāyal
aur zaḳhmoñ pe chhiḌakne ko namak hai ki nahīñ
sāya-e-zulf se mahrūm huā hai jis din
tere shaidā ko usī din se sanak hai ki nahīñ
bhuul jaatā hai har ik baar vo va.ade kar ke
dushmanī par mirī āmāda falak hai ki nahīñ
aadmī zulmat-e-qismat meñ rahegā kab tak
is kī taqdīr meñ tāroñ kī chamak hai ki nahīñ
ho gayā aaj mirā kulba-e-ahzāñ raushan
un ke aane se makāñ rashk-e-falak hai ki nahīñ
rā.egāñ ho nahīñ saktā kabhī ḳhūn-e-ushshāq
kūcha-e-yār ke zarroñ meñ chamak hai ki nahīñ
aap ke aane se kis darja milā us ko sukūñ
ruḳh-e-bīmār pe ḳhushiyoñ kī damak hai ki nahīñ
baa'd partav ke navā karte haiñ islāh-e-suḳhan
mere ash.ār meñ partav kī jhalak hai ki nahīñ
us kī ulfat meñ bahut bādiya-paimā.ī kī
ai 'fazā' paañv ke chhāloñ meñ tapak hai ki nahīñ
dekhne walo kaho dil mein kasak hai ki nahin
un ke chehre pe mere gham ki jhalak hai ki nahin
aap ke hijr mein rota hai ye dil aaTh pahar
dekhiye nam mere ashkon se palak hai ki nahin
tund lahje mein kiya tu ne sada mujh se kalam
teri aawaz mein kuchh loch lachak hai ki nahin
be-ruKHi se teri dil mera hua hai ghayal
aur zaKHmon pe chhiDakne ko namak hai ki nahin
saya-e-zulf se mahrum hua hai jis din
tere shaida ko usi din se sanak hai ki nahin
bhul jata hai har ek bar wo wade kar ke
dushmani par meri aamada falak hai ki nahin
aadmi zulmat-e-qismat mein rahega kab tak
is ki taqdir mein taron ki chamak hai ki nahin
ho gaya aaj mera kulba-e-ahzan raushan
un ke aane se makan rashk-e-falak hai ki nahin
raegan ho nahin sakta kabhi KHun-e-ushshaq
kucha-e-yar ke zarron mein chamak hai ki nahin
aap ke aane se kis darja mila us ko sukun
ruKH-e-bimar pe KHushiyon ki damak hai ki nahin
ba'd partaw ke nawa karte hain islah-e-suKHan
mere ashaar mein partaw ki jhalak hai ki nahin
us ki ulfat mein bahut baadiya-paimai ki
ai 'faza' panw ke chhaalon mein tapak hai ki nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.