dekhne walo zara tum bhi manzar dekhna
dekhne vaalo zarā tum bhī manzar dekhnā
rāh-e-haq meñ hī kaTegā ab mirā sar dekhnā
aañkh se ho kar tire dil meñ utar jā.ūñgā maiñ
shart ye hai pyaar kī tū aañkh ban kar dekhnā
aapsī jhagḌe meñ saare log zaḳhmī ho ga.e
kis kī gardan kis kā māthā kis kā ab sar dekhnā
roz-o-shab duniyā meñ yuuñ bhī ek mahshar hai bapā
aur kyā baaqī hai maulā roz-e-mahshar dekhnā
pyaar ke ham biij bo.e haiñ baḌe iḳhlās se
ek din saarā chaman hogā mo.attar dekhnā
gosha gosha is chaman kā jhuum kar lahrā.egā
patte patte par hamārā naam likh kar dekhnā
bas chalā karte haiñ ham to jānib-e-manzil 'vaqār'
ham ne sīkhā hī nahīñ rāhoñ ke patthar dekhnā
dekhne walo zara tum bhi manzar dekhna
rah-e-haq mein hi kaTega ab mera sar dekhna
aankh se ho kar tere dil mein utar jaunga main
shart ye hai pyar ki tu aankh ban kar dekhna
aapsi jhagDe mein sare log zaKHmi ho gae
kis ki gardan kis ka matha kis ka ab sar dekhna
roz-o-shab duniya mein yun bhi ek mahshar hai bapa
aur kya baqi hai maula roz-e-mahshar dekhna
pyar ke hum bij boe hain baDe iKHlas se
ek din sara chaman hoga moattar dekhna
gosha gosha is chaman ka jhum kar lahraega
patte patte par hamara nam likh kar dekhna
bas chala karte hain hum to jaanib-e-manzil 'waqar'
hum ne sikha hi nahin rahon ke patthar dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.