dekhne walon ka anjam tumhein kya malum
dekhne vāloñ kā anjām tumheñ kyā ma.alūm
aa ga.e tum to lab-e-bām tumheñ kyā ma.alūm
tum hameñ bazm meñ be-sāḳhta dekhā na karo
log kar Dāleñge badnām tumheñ kyā ma.alūm
ham pe guzrī jo rah-e-ishq meñ ham jaan chuke
Thokareñ khā.īñ haiñ har gaam tumheñ kyā ma.alūm
zulf bikhrā ke bharī bazm meñ tum aa to ga.e
kyā ġhazab Dhā.egī ye shaam tumheñ kyā ma.alūm
apnī in mad-bharī āñkhoñ ko jhukāo na abhī
kitne ḳhālī haiñ abhī jaam tumheñ kyā ma.alūm
ham to qasdan hue maa.il mai-e-rusvā.ī par
ham ne kyoñ pī liyā ye jaam tumheñ kyā ma.alūm
shā.erī par tumheñ 'nayyar' kī ta.ajjub kyoñ hai
is pe hotā hai jo ilhām tumheñ kyā ma.alūm
dekhne walon ka anjam tumhein kya malum
aa gae tum to lab-e-baam tumhein kya malum
tum hamein bazm mein be-saKHta dekha na karo
log kar Dalenge badnam tumhein kya malum
hum pe guzri jo rah-e-ishq mein hum jaan chuke
Thokaren khain hain har gam tumhein kya malum
zulf bikhra ke bhari bazm mein tum aa to gae
kya ghazab Dhaegi ye sham tumhein kya malum
apni in mad-bhari aankhon ko jhukao na abhi
kitne KHali hain abhi jam tumhein kya malum
hum to qasdan hue mail mai-e-ruswai par
hum ne kyon pi liya ye jam tumhein kya malum
shaeri par tumhein 'nayyar' ki tajjub kyon hai
is pe hota hai jo ilham tumhein kya malum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.