dekhne walon ko kuchh aur dikhaya gaya hai
dekhne vāloñ ko kuchh aur dikhāyā gayā hai
asl jo maal thā vo aise chhupāyā gayā hai
jaane ke vāste dīvār banā.ī ga.ī hai
rokne ke liye darvāza banāyā gayā hai
apnī āñkhoñ ko bhī pahchān nahīñ paatā huuñ
ek muddat se yahāñ koī na aayā gayā hai
sīdhe chalte haiñ to dīvār se Takrāte haiñ
kāmyābī kā sabaq aisā paḌhāyā gayā hai
dil ke ik daaġh ko kuchh aise sajā ai fankār
log samjheñ ki yahāñ phuul banāyā gayā hai
ye jo sab nazreñ jhukā.e hue aate haiñ nazar
log andhe nahīñ ā.īna dikhāyā gayā hai
dekhne walon ko kuchh aur dikhaya gaya hai
asl jo mal tha wo aise chhupaya gaya hai
jaane ke waste diwar banai gai hai
rokne ke liye darwaza banaya gaya hai
apni aankhon ko bhi pahchan nahin pata hun
ek muddat se yahan koi na aaya gaya hai
sidhe chalte hain to diwar se Takraate hain
kaamyabi ka sabaq aisa paDhaya gaya hai
dil ke ek dagh ko kuchh aise saja ai fankar
log samjhen ki yahan phul banaya gaya hai
ye jo sab nazren jhukae hue aate hain nazar
log andhe nahin aaina dikhaya gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.