dekho firaq-e-yar mein jaan kho raha hai wo
dekho firāq-e-yār meñ jaañ kho rahā hai vo
'shahzād' ko sambhālo bahut ro rahā hai vo
aa.e na.e jo zaḳhm to ye ruuh ne kahā
kuchh der baiTh jaao abhī so rahā hai vo
sahrā kī ḳhaak haq meñ mire kah rahī hai ye
jo honā chāhtā thā vahī ho rahā hai vo
pahle bhī ḳhālī haath thā hai ab bhī ḳhālī haath
aur kab se bār-e-sūd-o-ziyāñ Dho rahā hai vo
ai āsmāñ tū shukr adā us kā kījiyo
be-dil zamīñ ke siine meñ dil ho rahā hai vo
dekho kahāñ kise mile 'shahzād' dahr meñ
ham ne sunā hai ḳhud ko kahīñ kho rahā hai vo
dekho firaq-e-yar mein jaan kho raha hai wo
'shahzad' ko sambhaalo bahut ro raha hai wo
aae nae jo zaKHm to ye ruh ne kaha
kuchh der baiTh jao abhi so raha hai wo
sahra ki KHak haq mein mere kah rahi hai ye
jo hona chahta tha wahi ho raha hai wo
pahle bhi KHali hath tha hai ab bhi KHali hath
aur kab se bar-e-sud-o-ziyan Dho raha hai wo
ai aasman tu shukr ada us ka kijiyo
be-dil zamin ke sine mein dil ho raha hai wo
dekho kahan kise mile 'shahzad' dahr mein
hum ne suna hai KHud ko kahin kho raha hai wo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.