dekho koi KHwab din Dhale ka
dekho koī ḳhvāb din Dhale kā
dariyā ke is āḳhirī sire kā
zāhir meñ the pur-tapāk lamhe
mausam thā vo rishte TūTne kā
kāġhaz pe sulagte kuchh sitāre
maktūb sā koī shab Dhale kā
qurbat kī chhaTī jo dhund dekhā
raushan thā charāġh fāsle kā
har aañkh meñ DhūñDhtā huuñ ḳhud ko
maiñ nuur huuñ bujhte ratjage kā
Tahnī se girā do barg-e-larzāñ
imkān hai taaza sānehe kā
dekho koi KHwab din Dhale ka
dariya ke is aaKHiri sire ka
zahir mein the pur-tapak lamhe
mausam tha wo rishte TuTne ka
kaghaz pe sulagte kuchh sitare
maktub sa koi shab Dhale ka
qurbat ki chhaTi jo dhund dekha
raushan tha charagh fasle ka
har aankh mein DhunDhta hun KHud ko
main nur hun bujhte ratjage ka
Tahni se gira do barg-e-larzan
imkan hai taza sanehe ka
- Book : dahliiz per utartii shaam (Pg. 17)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.