dekho mere jaisi haalat hoti hai
dekho mere jaisī hālat hotī hai
sach kahne kī jin ko aadat hotī hai
maiñ sahrā kī ret huuñ tū hai dariyā kī
sab kī apnī apnī qismat hotī hai
utnā hī is dahr meñ jī paatā hai koī
jis ke andar jitnī vahshat hotī hai
jis pal tujh se duur huā kartā huuñ maiñ
us pal terī saḳht zarūrat hotī hai
tere jaise log vahīñ se aate haiñ
jannat se aage jo jannat hotī hai
dekheñ kitnī baar dukhī hote haiñ ham
dekheñ kitnī baar mohabbat hotī hai
dekho mere jaisi haalat hoti hai
sach kahne ki jin ko aadat hoti hai
main sahra ki ret hun tu hai dariya ki
sab ki apni apni qismat hoti hai
utna hi is dahr mein ji pata hai koi
jis ke andar jitni wahshat hoti hai
jis pal tujh se dur hua karta hun main
us pal teri saKHt zarurat hoti hai
tere jaise log wahin se aate hain
jannat se aage jo jannat hoti hai
dekhen kitni bar dukhi hote hain hum
dekhen kitni bar mohabbat hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.