dekho to sahi zist ke imkan bhi honge
dekho to sahī ziist ke imkān bhī hoñge
shāyad ki isī bhiiḌ meñ insān bhī hoñge
gardan pe lage zaḳhm kī sozish se khulī aañkh
ham sochte the jang ke elaan bhī hoñge
allāh kisī ko kabhī bhūkā nahīñ rakhtā
dil us ne diyā hai to kuchh armān bhī hoñge
duniyā meñ koī chiiz bhī be-vaj.h nahīñ hai
maiñ huuñ to mire vāste maidān bhī hoñge
dekho kabhī duniyā to pareshān na honā
ab ḳhair se diide haiñ to hairān bhī hoñge
nekī kā badī se hai bahut paas kā rishta
in.aam ke nazdīk hī bohtān bhī hoñge
lāzim hai to malzūm bhī hogā yahīñ 'parvez'
jab zaḳhm mile haiñ to namakdān bhī hoñge
dekho to sahi zist ke imkan bhi honge
shayad ki isi bhiD mein insan bhi honge
gardan pe lage zaKHm ki sozish se khuli aankh
hum sochte the jang ke elan bhi honge
allah kisi ko kabhi bhuka nahin rakhta
dil us ne diya hai to kuchh arman bhi honge
duniya mein koi chiz bhi be-wajh nahin hai
main hun to mere waste maidan bhi honge
dekho kabhi duniya to pareshan na hona
ab KHair se dide hain to hairan bhi honge
neki ka badi se hai bahut pas ka rishta
inam ke nazdik hi bohtan bhi honge
lazim hai to malzum bhi hoga yahin 'parwez'
jab zaKHm mile hain to namakdan bhi honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.