dekho to sirf haal faqiron ka dekhna
dekho to sirf haal faqīroñ kā dekhnā
kis ne kahā mizāj amīroñ kā dekhnā
sāhil paḌe haiñ thāme hue koī aa.ina
dariyā meñ duur aks jazīroñ kā dekhnā
kab ye ufuq ko kaun se paikar meñ Dhaal de
halchal sā bādaloñ kī lakīroñ kā dekhnā
jaise barahna shāḳh liye kah rahe haiñ kuchh
manzar ḳhizāñ kī rut meñ asīroñ kā dekhnā
kuchh muddaoñ meñ maanā irāde javāñ sahī
kuchh baat meñ ḳhayāl bhī pīroñ kā dekhnā
kam hai giraft kis kī kamāñ pe ḳhayāl rakh
taakā huā nishān na tīroñ kā dekhnā
vo qāfile amiir ke 'parvez' ik taraf
kuchh rahbaroñ meñ josh nazīroñ kā dekhnā
dekho to sirf haal faqiron ka dekhna
kis ne kaha mizaj amiron ka dekhna
sahil paDe hain thame hue koi aaina
dariya mein dur aks jaziron ka dekhna
kab ye ufuq ko kaun se paikar mein Dhaal de
halchal sa baadalon ki lakiron ka dekhna
jaise barahna shaKH liye kah rahe hain kuchh
manzar KHizan ki rut mein asiron ka dekhna
kuchh muddaon mein mana irade jawan sahi
kuchh baat mein KHayal bhi piron ka dekhna
kam hai giraft kis ki kaman pe KHayal rakh
taka hua nishan na tiron ka dekhna
wo qafile amir ke 'parwez' ek taraf
kuchh rahbaron mein josh naziron ka dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.