dekho us ka hijr nibhana paDta hai
dekho us kā hijr nibhānā paḌtā hai
vo jaisā chāhe ho jaanā paḌtā hai
sunte kab haiñ log hameñ bas dekhte haiñ
chehre ko āvāz banānā paḌtā hai
in andhe aur bahre logoñ ko sā.īñ
hone kā ehsās dilānā paḌtā hai
abhī hamāre andar aag nahīñ bhaḌkī
abhī hameñ cigarette sulgānā paḌtā hai
kuchh āñkheñ hī aisī hotī haiñ jin ko
koī na koī ḳhvāb dikhānā paḌtā hai
is duniyā ko chhoḌ ke jis meñ tum bhī ho
jaatā kaun hai lekin jaanā paḌtā hai
kuchh phūloñ kī ḳhātir bhī kuchh phūloñ kā
sab se achchhā rang churānā paḌtā hai
dekho us ka hijr nibhana paDta hai
wo jaisa chahe ho jaana paDta hai
sunte kab hain log hamein bas dekhte hain
chehre ko aawaz banana paDta hai
in andhe aur bahre logon ko sain
hone ka ehsas dilana paDta hai
abhi hamare andar aag nahin bhaDki
abhi hamein cigarette sulgana paDta hai
kuchh aankhen hi aisi hoti hain jin ko
koi na koi KHwab dikhana paDta hai
is duniya ko chhoD ke jis mein tum bhi ho
jata kaun hai lekin jaana paDta hai
kuchh phulon ki KHatir bhi kuchh phulon ka
sab se achchha rang churana paDta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.