dekhta hai wo khiDkiyon se mujhe
dekhtā hai vo khiḌkiyoñ se mujhe
paar kartā hai kashtiyoñ se mujhe
rail se pahle kaTte dekhegā
phir sameTegā paTriyoñ se mujhe
ret ko bhī pata nahīñ chaltā
kaun likhtā hai uñgliyoñ se mujhe
bhīge kāġhaz pe kuchh lakīreñ thiiñ
yaad aaya hatheliyoñ se mujhe
phir maiñ DhūñDūñ use zamāne tak
phir pukāre vo dūriyoñ se mujhe
aur kuchh din agar khilā rahtā
pyaar ho jaatā titliyoñ se mujhe
Thiik se baat kar nahīñ paatā
sharm aatī hai laḌkiyoñ se mujhe
jab koī yaad karne vaalā nahīñ
kyā ilāqa ho hichkiyoñ se mujhe
merī jānib bhī koī haath baḌhe
khīñch le koī khā.iyoñ se mujhe
dekhta hai wo khiDkiyon se mujhe
par karta hai kashtiyon se mujhe
rail se pahle kaTte dekhega
phir sameTega paTriyon se mujhe
ret ko bhi pata nahin chalta
kaun likhta hai ungliyon se mujhe
bhige kaghaz pe kuchh lakiren thin
yaad aaya hatheliyon se mujhe
phir main DhunDun use zamane tak
phir pukare wo duriyon se mujhe
aur kuchh din agar khila rahta
pyar ho jata titliyon se mujhe
Thik se baat kar nahin pata
sharm aati hai laDkiyon se mujhe
jab koi yaad karne wala nahin
kya ilaqa ho hichkiyon se mujhe
meri jaanib bhi koi hath baDhe
khinch le koi khaiyon se mujhe
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 47)
- Author :Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.