dekhta hun tujhko aksar ai samundar ai samundar
dekhtā huuñ tujh ko aksar ai samundar ai samundar
jaise ho tū mere andar ai samundar ai samundar
tere tūfānoñ ne kī yalġhār chaTTānoñ pe shab bhar
shor thā bām-e-falak par ai samundar ai samundar
DhūñDhtī hai aañkh sat.h-e-āb par chehra kisī kā
tū banā de us kā paikar ai samundar ai samundar
be-karānī meñ tū apnī merī vīrānī samo le
maiñ huā huuñ phir se be-ghar ai samundar ai samundar
tīrgī kī phailtī chādar hai ham donoñ hī chup kyoñ
guuñj uTh manzar-ba-manzar ai samundar ai samundar
dekhne aayā hai tujh meñ duur se chal kar 'ovaisī'
Dūbte sūraj kā manzar ai samundar ai samundar
dekhta hun tujh ko aksar ai samundar ai samundar
jaise ho tu mere andar ai samundar ai samundar
tere tufanon ne ki yalghaar chaTTanon pe shab bhar
shor tha baam-e-falak par ai samundar ai samundar
DhunDhti hai aankh sath-e-ab par chehra kisi ka
tu bana de us ka paikar ai samundar ai samundar
be-karani mein tu apni meri virani samo le
main hua hun phir se be-ghar ai samundar ai samundar
tirgi ki phailti chadar hai hum donon hi chup kyon
gunj uTh manzar-ba-manzar ai samundar ai samundar
dekhne aaya hai tujh mein dur se chal kar 'owaisi'
Dubte suraj ka manzar ai samundar ai samundar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.