dekhte dekhte hi sal guzar jata hai
dekhte dekhte hī saal guzar jaatā hai
par tirā ġham hai ki baḌhtā hai Thahar jaatā hai
tairtī rahtī hai āñkhoñ meñ tū har shab aise
jaise dariyā meñ koī chāñd utar jaatā hai
kaun us ḳhvāb kī ta.abīr pe kartā hai yaqīñ
ḳhvāb jo niiñd se laḌtā huā mar jaatā hai
ham ne āñkhoñ kī zabānoñ pe lagā.e haiñ qufl
varna dil terī hī āvāzoñ se bhar jaatā hai
koī har roz mujhe chhoḌ ke mar jaatā hai
jaane vo kaun hai kaisā hai kidhar jaatā hai
ek hī vaqt meñ sukh-dukh nahīñ milte mujh ko
paañv gar apne bachā.ūñ to safar jaatā hai
phir se duniyā kī taraf dhyān lagāyā hai magar
ḳhaak itne meñ tirā dil se asar jaatā hai
dekhte dekhte hi sal guzar jata hai
par tera gham hai ki baDhta hai Thahar jata hai
tairti rahti hai aankhon mein tu har shab aise
jaise dariya mein koi chand utar jata hai
kaun us KHwab ki tabir pe karta hai yaqin
KHwab jo nind se laDta hua mar jata hai
hum ne aankhon ki zabanon pe lagae hain qufl
warna dil teri hi aawazon se bhar jata hai
koi har roz mujhe chhoD ke mar jata hai
jaane wo kaun hai kaisa hai kidhar jata hai
ek hi waqt mein sukh-dukh nahin milte mujh ko
panw gar apne bachaun to safar jata hai
phir se duniya ki taraf dhyan lagaya hai magar
KHak itne mein tera dil se asar jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.