dekhte dekhte kya se kya ho gaya
dekhte dekhte kyā se kyā ho gayā
maḳhmalī saayā sar se judā ho gayā
ret kī musht se musht bhiḌtī rahī
vaqt phislā yuuñ ham se ḳhafā ho gayā
ye galī rāsta ghar ke kamre sabhī
DhūñDte haiñ use jo havā ho gayā
ashk rukte nahīñ dard thamtā nahīñ
baiThe baiThe ye kyā hādisa ho gayā
rang aa.egā kyā nuur aa.egā kyā
yā vo biite paloñ kī sadā ho gayā
gar shikāyat thī ham se to kahte sahī
chhup ke jaane se kyā faisla ho gayā
apnā har ġham chhupānā thī aadat tirī
ādatan tū sabhī se ḳhafā ho gayā
tere hone se ḳhushiyāñ thiiñ hisse mere
ab ġhamoñ kā magar silsila ho gayā
jī bhī paa.eñ nahīñ mar bhī paa.eñ nahīñ
'sārthī' kyā ajab mājrā ho gayā
dekhte dekhte kya se kya ho gaya
maKHmali saya sar se juda ho gaya
ret ki musht se musht bhiDti rahi
waqt phisla yun hum se KHafa ho gaya
ye gali rasta ghar ke kamre sabhi
DhunDte hain use jo hawa ho gaya
ashk rukte nahin dard thamta nahin
baiThe baiThe ye kya hadisa ho gaya
rang aaega kya nur aaega kya
ya wo bite palon ki sada ho gaya
gar shikayat thi hum se to kahte sahi
chhup ke jaane se kya faisla ho gaya
apna har gham chhupana thi aadat teri
aadatan tu sabhi se KHafa ho gaya
tere hone se KHushiyan thin hisse mere
ab ghamon ka magar silsila ho gaya
ji bhi paen nahin mar bhi paen nahin
'sarthi' kya ajab majra ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.