dekhte hain mujhe hans kar ye zamane wale
dekhte haiñ mujhe hañs kar ye zamāne vaale
jaise ġham haiñ hī nahīñ mere dikhāne vaale
aap boleñge mire haq meñ nahīñ rahne deñ
mere munsif bhī nahīñ mujh ko bachāne vaale
apne gaañv gayā to mujh ko huā ye mā'lūm
dost ab haiñ hī nahīñ shaam sajāne vaale
maiñ ne pūchhā thā to vo rone lagā thā sun kar
yaad aatī hai mirī mujh ko bhulāne vaale
jin ko lagtī haiñ mirī bāteñ burī vo sun leñ
mujh ko aate hī nahīñ fan vo lubhāne vaale
dekhte hain mujhe hans kar ye zamane wale
jaise gham hain hi nahin mere dikhane wale
aap bolenge mere haq mein nahin rahne den
mere munsif bhi nahin mujh ko bachane wale
apne ganw gaya to mujh ko hua ye ma'lum
dost ab hain hi nahin sham sajaane wale
main ne puchha tha to wo rone laga tha sun kar
yaad aati hai meri mujh ko bhulane wale
jin ko lagti hain meri baaten buri wo sun len
mujh ko aate hi nahin fan wo lubhane wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.